Shab e Juma Hadith
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
1. Rasule Khuda (saww):
Jo koi Jumeraat aur Shab e Juma ko Masjid mein safaai kare aur Masjid mein se aa’nkh mein padne waale tinke ke barabar dhuul aur mitti baahar nikaale to Khuda uske gunah maaf farmayega.
(Amaali – Shaikh Sadooq, p465)
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal (Naseem e Behisht), p69)
2. Imam Sadiq (as):
Shab e Juma gunaaho’n se Parhez karo kyon ki is Shab mein gunaaho’n ki sazaa KAI GUNA badh jaati hai aur Nekiyo’n ka sawaab bhi.
(Sharh Dua e Kumail)
3. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs Shab e Juma me Ma’siyyate Khuda (gunaah) ko tark (avoid) kare, to Allah uske Pichhle gunaaho’n ko Maaf kar deta hai.
(Sharh Dua e Kumail)
4. Imam Sadiq (as):
Shabe Juma aur Juma ke din SADQA dena aur SALWAT padhna 1000 nekiyo’n ke barabar hai, is se 1000 buraiya’n khatm hoti hai aur 1000 darjaat buland hote hain.
(Fazaael e Salwaat)