SADQA

*Din o Raat me Sadqa*

Imām Ja’far ibn Muhammad  al-Sādiq (عليه السلام) ne farmaya: “Din me Sadqah dena Gunaho ko is tarah khatm kar deta hai jaise pani me namak khatm ho jata hai, Raat me diya gaya sadqa Allāh ke gusse to thanda kar deta hai .” [Reference: Sawaabul A’amaal , Page 189] (Salwat)

Juma

Shab e Juma Hadith
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
1. Rasule Khuda (saww):
Jo koi Jumeraat aur Shab e Juma ko Masjid mein safaai kare aur Masjid mein se aa’nkh mein padne waale tinke ke barabar dhuul aur mitti baahar nikaale to Khuda uske gunah maaf farmayega.
(Amaali – Shaikh Sadooq, p465)
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal (Naseem e Behisht), p69)

2. Imam Sadiq (as):
Shab e Juma gunaaho’n se Parhez karo kyon ki is Shab mein gunaaho’n ki sazaa KAI GUNA badh jaati hai aur Nekiyo’n ka sawaab bhi.
(Sharh Dua e Kumail)

3. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs Shab e Juma me Ma’siyyate Khuda (gunaah) ko tark (avoid) kare, to Allah uske Pichhle gunaaho’n ko Maaf kar deta hai.
(Sharh Dua e Kumail)

4. Imam Sadiq (as):
Shabe Juma aur Juma ke din SADQA dena aur SALWAT padhna 1000 nekiyo’n ke barabar hai, is se 1000 buraiya’n khatm hoti hai aur 1000 darjaat buland hote hain.
(Fazaael e Salwaat)